Mobile blast kyu hota hai.

               Mobile ko blast hone se kese bachaye.



Dosto  aapne bhi suna hoga mobile kahi par blast ho gya hai wo kabhi samsung ka to kbhi other company ka aese me logo ke ke andar ak dar ban jati  hai kahi hamara bhi phone kabhi blast na ho jaye.

Kyuki isme kabhi to sirf mobile hi blast hoti hai aur kabhi ye logo ki jindgi ko bhi le leti hai 
aur aesa hua bhi hai kai baar log mobile ko pakar ke baat karte huy bhi mobile blast ho jata hai aur kabhi jeb me rakhe huye me bhi achanak blast ho jata hai.

Aur kabhi kabhi soye huye me bhi pas me rakha phone blast ho jata hai  jisse logo ki mobile ke sath sath jaan bhi chali jati hai.
Isse kai baar logo ko apne jindgi se bhi hath dhoni padti hai.

To kya aap jante hai ki phone blast kyu hota hai actually me phone blast nhi hota actually me battery fat jati hai 

over hitting ki vajah se isme kuch galati smartphone company ki hoti hai to kuch galati ham user ki bhi hoti jis karan se hmara smartphone blast ho jata hai.
To chaliye jante hai ki mobile phone blast kyu hoti hai iska kya karan hai .
Aur isse kese bacha jaye taki hmara phone bhi blast na ho..?

mobile blast kyu hota hai.

To chaliye batate hai step by step.

Me 6 karan btaunga jo jyada log aese galati karte hai jisse unhe nuksan pahunchti hai.
Aur aese galati aap na kre to chaliye jante hai kya hai wo galati .

   

Mobile blast hone ke karan.


    1.mobile ko charging ke samay hamesh  original charger hi use kare  lekin aaj kal hamme se bahut sare log aese hai ki kuch dino original charger  toot jane ya nhi rahne par ispar dhayan          nahi dete hai aur jo mila usi se charging me lga dete hai ya nahi to market se  saste wala charger le ke apne mobile ko charge karte hai

 aur isse battery pe bhi bura asar padta hai .
   Aur mobile ko blast hone ki ummid bhi kafi hoti hai.
Isliye kabhi bhi duplicate charger ya usb cabale ka upyog na kre ya bahut hi kam kare isse aapki battery bhi safe rahegi aur mobile bhi aur sath me aapko bhi koi nuksan nahi hoga.


2.dusra karan ye hai ki hamlog kya karte hai mobile ko charging me lagakar usme game khelte hai ya social media pe busy ho jate hai aur nhi to movie dekhte hai charge me lgake,
To agar aap bhi aesa karte hai to bilkul bhi n a kare kyuki isse sabse pahle to battery pe bura asar padta hai dusri phone aapka hit hone lgega kyuki ak to aap charge kar rahe ho dusra aap charge khatm bhi kar rahe ho isme hota aesa hai ki battery bahut der se charge hoti hai 

jisse mobile garam hone lgta hai aur ispar pressure jyada padne lgta hai jisse phone blast bhi ho sakta hai.



3.Mobile ko charge me lga hone par kisi ka phone call aata hai to hamlogo me kuch log  kya karte hai usko charge me lge rahne dete hai aur call receive kar lete hai aur bahut der tak baat karte rahte hai ,
   Agar aap bhi aesa karte hai to aesa bilkul na kre jab bhi kisi ka call aaye pahle mobile ko charging se alag kar de fir baat kre
Aesa isliye kyuki jab bhi ham baat karte hai mobile se to idhar udhar halka-fulka dolte rahte hai isse kya hota hai ki electricity bord me charger ki palak bhi hiti hai jisse short circuit hone ka khatra bna rahta hai.
Agar aap original charger aur achhi power par mobile ko charging me lga kar baat kar rahe hai to isme mobile ki shot circuit hone ka khatra kam hota hai lekin fir bhi hame charging se hata kar hi baat karni chahiye.


4. Apne mobile phone ko kabhi bhi jyada garam jagah ya saman par na rakhe jese ki kitchen ya koi electric gadget ya dhup me na hi rakhe aur na hi waha par jyada istemaal karna chahiye.
Iska karan ye hai ki isse aapke mobile par direct bahar se hit aati hai jisse phone turant garam ho jata hai.
To aesa bhi nahi karna chahiye ye aapke mobile aur aapke liye nuksan dayak ho sakta hai.



5.mobile par cover ko lgana aajkal hamare india me jyada hi popular ho gya hai moti moti rang birangi cover aajkal log mobile me lgate hai bahut hi shauk se
    Isse kya hota hai ki mobile ki jo hitting hoti hai wo bahar nahi nikal pati hai aur wo mobile ke cover me rah jati hai isse mobile jayda der tak garam rahti hai
  Aapne dekha hoga jab mobile jyada garam ho jata hai usme agar ham mobile ki cover nikal ke bahar rakh dete hai to mobile jaldi normal ho jati hai.
Isi tarah jab ham mobile ko charging me lgakar rakhte hai to uska jo hit hoti hai wo mobile ki cover me hi rah jati hai jisse mobile over hit  hone lgta hai.
Aur isse bhi mobile ko fatne ki chance badh jati hai.


6.Mobile ko charger me lagakar raat me so jana ye bahut sare log karte hai raat me mobile ko charger me lgakar so jate hai aur mobile 2-3 ghante me full charge ho jati hai lekin wo ham usko morning me uthne ke baad charging se nikalte hai.

     Isse mobile ki battery dhire dhire andar hi andar fulne lgti hai jo kuch dino ke baad lagatar mobile ko jyada der tak charger me lagane se wo fat jati hai .

Mobile fatne se nuksan to hota hi hai aur agar mobile sharir ke pas blast hua to jaan bhi ja sakti hai.

To dosto in step ko follow karke aap apna mobile bacha sakte hai aur sath me apni anmol jindgi bhi .

Agar ye post aapko achcha lge to comment jarur kre aur apne dosto relatives ko share kare taki wo bhi aesi galti na kre jisse unhe nuksan ho.
Mobile blast kyu hota hai. Mobile blast kyu hota hai. Reviewed by babajitech on 11:27 AM Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.